BETAAB DHADKANO NE LYRICS – SAYLI KAMBLE

BETAAB DHADKANO NE LYRICS - SAYLI KAMBLE

Betaab Dhadkano Ne Lyrics by Sayli Kamble is recently released Hindi song, Prini Siddhant Madhav has made its tune. Betaab Dhadkano Ne song lyrics are written by Sameer Anjaan.

Betaab Dhadkano Ne Song Detail

Song Betaab Dhadkano Ne
Singer(s) Sayli Kamble
Musician(s) Prini Siddhant Madhav
Lyricist(s) Sameer Anjaan

Betaab Dhadkano Ne Lyrics

Betaab dhadkano ne
Jab di hume sadayein
Betaab dhadkano ne
Jab di hume sadayein

Tumhein dhoondhne lagi
Jab har waqt yeh nigahein
Barson se karna tha jo
Woh kaam kar diya

Humne humara dil
Tumhare naam kar diya
Humne humara dil
Tumhare naam kar diya

Barfeele saare armaan
Ab to pighal chuke hain
Hum chahaton ki hadh se
Aage nikal chuke hain
Hum chahaton ki hadh se
Aage nikal chuke hain

Tasveer khwahishon ki
In palkon pe saja ke
Hum dono mil rahe the
Ab tak to chhup chhupa ke
Hum dono mil rahe the

Afsana apna humne
Sareaam kar diya
Humne humara dil
Tumhare naam kar diya
Humne humara dil
Tumhare naam kar diya

Baahon ke darmiyan hi
Jannat hai apni saari
Tere hawale kar di
Yeh zindagi hamari
Tere hawale kar di

Wahin manzilein hamari
Jahan teri rehguzar hai
Na to koyi fikar hai
Na waqt ki khabar hai
Na to koyi fikar hai

Aayi subah gali mein
Aur shaam kar diya
Humne humara dil
Tumhare naam kar diya
Humne humara dil
Tumhare naam kar diya

Betaab Dhadkano Ne – Sayli Kamble Video